chal aaj 'raat' se milkar aate hain..
kuch apni kahkar aate hain..
kuch uski sunkar aate hain..
din ki roshni se kai raaz chupae hain..
vo raaz use batlaakar aate hain..
raste me 'shaam' milegi..
vo rokegi, kuch tokegi..
baaton baaton me vo puchegi..
har raaz ke panne paltegi..
maathe ki shikan me chipa lenge vo raaz..
chehre ki jhurriyon ke biich guma denge vo raaz..
hatheliyon ke lifafon me band kar denge vo raaz..
jald hi vida le 'shaam' se, aage badhna hai..
aaj ki is mulakat me mujhe bahot kuch kahna hai....

No comments:
Post a Comment